Tuesday, August 20, 2013

meri wife ke ameer jijaji

ye kahani meri apni niji jindagi ki hai --- ki kaise main hamesha se comparison se pareshan tha... wo comparison kabhi bagal me rahane waali ladki se hota... to kabhi kissi chacha mama ke ladke se... har umar aur har kism ke aadmi se comparison.

jo kareebi the aur aankhon dekhe the unase main hamesha kam hota tha... to jo andhe the wo to waise bhi legend the.. to unase to maine khud ko hi kam aank liya.

jab jaan pahchaan waale jo kahte wo mani bina tark kiye aur usako samjhe hue --- aankh band kar yakin kar leta... esako kaan kaa kacha nahi balki tark kaa kacha kahenge. kyunki ek paristhiti me raha huaa admi apne jaise hi doosare aadmi se alag ho saktaa hai.... parantu har skill set me acha ho... ek to ye comparison bebunyiyaadi hai... doosara ki jab aap usako sarve sarva acha maan lete ho --- tab to problem aur bhi badh jaati hai.

waise to aapki umar ke har ensaan se aap har cheej me ache ho nahi sakte... lekin main koi bhi aisa udhaaran saamne aata jab koi bandaa yaa bandi kissi maamle me mujhase ache hote.. jo ki natural hai... aur main usase dushmani kar baithata... man hi man... jabaki main sirf usakaa hauslaa afjaahi karke aage badh saktaa hun.

aur apne kaam par dhyaan deta rahun.

khair apnaa kaam bhi bahut sahi se pata nahi tha... jo doosdare karte agar wahi acha hai --- to phir wahi karnaa chahiye aur ache se karnaa chahiye..

khair ab jindagi yahaan aa gayi hai... jab paise ki hod hai.. waise saayad sabako hod naa ho par mujhe to hai... waise mujhe bhi itni jyada nahi hai lekin har cheej itnaa mahngaa hai aur har cheej main afofrd nahi kar sakataa... to ab en cheejo ki price list dekh kar... aur aise cheejon ki kami nahi hai... to number of price list bhi badhate jaa rahe hai aur un list par likhaa huaa number bhi.

aur aisa bhi nahi hai ki duniyaa me khareedaro ki kami hai... warna to ye dukaanein sirf mere liye khuli nahi hai.. to aas paas kaa koi aadmi jab koi aisa saaman khareed leta hai to dukh hotaa hai.. apni nimnata kaa ehsaah hota hai...

lekin jab aapke paas kaa ek aadmi... jo aapke biwi kaa jija ho wo agar aise saaman khareedane lage jo aapke basic jaroorato ke upper limit ke barabar ho to phir lagtaa hai ki bhaai paisa kamaane ke khel me bhi peeche hi rahne waale hai kya....

ab kissi ne kahaa ki "duniyaa me 2 tarah ke log hote hai... ek business minded jo har jagah paisa kamaane kaa sochate hai aur banaa lete hai... aur ek doosare type ke"... ye doosara type wo define nahi kar paaye... par main samajh gaya ki wo jaroor aise honge jo paisa nahi banaa paate honge.... mauka unake saamane se gujarta hoga... aur wo haath par haath dhare baithe rahte honge... yaa phir pata nahi wo kyuun nahi banaa paate honge!!

anti social hone ke kaaran.... unako lakshay nahi pata ho... skill set sahi naa ho... yaa phir unakaa waqt nahi aaya ho... bahut kuch ho saktaa hia... yaa phir pichale janam me koi paap kiyaa ho jisake kaaran ye nahi ho paa raha ho.

ab en sabake baad bhi --- agar jijaji ne sabkuch kamaa liyaa hai.. to jaahir hai ki aaspaas ki female warg aur usame se ek aisi female jo aapke saath har waqt rahti hai... aur main usase pyaar karne ke liye vachanbadh hun... usako kitnaa buraa lagega jab usako ye pata chalega ki usaki biwi ko pata hai ki wo kabhi jijaji jitnaa tyaag aur balidaan nahi kar paayega aur kabhi utnaa haasil nahi kar paayega.

to bhai ab haasil karne ki jaddo jahad hai... matlab kuch bhi kaam aaj ke bad aisa nahi dikhtaa hai... jisame paisa kamaane kaa agar scope naa ho to wo karne ka man kare... chaahe wo dost ke saath baith kar gappe hi kyun naa haankane ho.. lekin mere khayaal se ab aapko ek aisa warg banaa lena chahiye jahaan aap gappe haanke aur unase kuch kaam bhi miltaa rahe.

pata nahi ye sab kitnaa sambhav hai... lets see.

multitasking kaa jamana hai... 10th ke baad khush huaa ki kuch kitaabe ab padhane ko nahi milengi... 12 th ke baad khush huaa ki engineering me to wo bahut se subject bhi nahi padhane padenge.... lekin engineering me ek hi subject ke itne hisse ho jaayenge aur wo bhi saare ke saare itne complicated jitnaa pahle saare milkar nahi huaa karte the.... khair phir huaa ki college ke baad tha ki wahi padhenge jo padhane kaa man karega aur naa chaho to naa padho... lekin phir samajh aaya ki yahaan to alag hi paath hai.

yahaan wo sab padhanaa padega jo aajtak padha hai... aur subject yahaan risto kaa hai... paise kamaane waale hathkande seekhana padega... aisa lag raha hai skill set badhana khud me ek kaam hai... waise tabhi to kuch kaam bhi hoga.... aur ye sochanaa to galat hai ki ab skill set badhaane ki koi jaroorat nahi hai.

kyunki pichale skill set par jitane paise mil rahe the utne hi aage bhi milenge... to paisa badhane ke liye skill set to badhana hi padega.

aur wahi to learning hai... ab mujhe agar cricket aur music aur politics me interest nahi hai... waise interest nahi  hai waali baat galat hai... interest sabame hai... l;ekin khud se padh kar aur apni raai nikaalna... kyunki har ek cheej ke bnaare me ek raai ho sakti hai... wo raai ab ek expert ki hai... yaa ek nausikhiye ki... yaa phir ek bystander ki... yaa phir kuch aur tareeke se classify bhi kiyaa jaa saktaa hai... wo main kabhi aur kar lunga.

to bas aap padhate chaliye.. lekin jo padhiye usako interest se padhiye... sirf timepass ke liye nahi... I mean thoda aaspaas kaa knowledge bhi ikatha kar lena chahiye... lets hope main esako amal me aa laa paaunga...

wo kahte hai naa ki ek kaam ko badhiyaa se karo basarte ki bahut sare kaam ko adhure man se... to ye baat sahi lagti hai.. lekin phir recreation kaa kya... aur ham recreation ke liye kuch padhate hai lekin curiosity I think aa rahi hai to usako dabaane ke bajaaye usake baare me jaan lena chahiye... aur jo baat jahaan tak rah gayi usako usake baad continue karnaa chahiye... agar continue nahi karnaa hai to decide kar lo ki bhaai esako esake baad continue nahi karunga.... esake baare me mujhe itnaa hi jaanana tha aur wo bhi isliiye.

ab mujhe ye baat pareshan karti hai to mujhe esake liye kuch behtar tareeke se kaam karnaa hoga.... aur phir kabhi kissi ne kissi topic par baat start ki to uspar main poore interest ke saath usase baat karke... aur kai baar balki hamesha main saamne waale se baat bhi karta hun aur pareshan bhi rahtaa hun... agar mani kaam me busy hun to usako baad me baat karne ko bhi kah saktaa hun... esase mera kaam bhi ho jaayega aur wo naaraj bhi nahi hoga... aur agar naaraj ho gaya then usako mujhase actually kaam nahi tha... aur usase naa baat ki jaaye tab bhi sahi hai... aur please har baat ko itana tawajo mat do... dekho ki usako tawajjo dena hai yaa nahi... aur emotional me fans jana aisa hota hai... every people gets caught in that.  

No comments:

Post a Comment