Sunday, August 25, 2013

dont build a mountain before yourself

just thinking of a dot

this dot has to be.

koi icha naa karne wali biwi

ye ek aise aurat -- contral character --- age 30 saal --- if made in young comedy then -- 15 - 20 yrs -- ye ladki koi wish nahi maangati hai.... kyunki ye jo bhi wish mangati hai wo puri to ho jaati hai par usake dosto ki double poori hoti hai.

ab es serial me kahaniyaa kyaa hongi --- kahaniyaa almost aisi hongi jisame wo ladki kuch wish maangegi aur wo galat tareeke se uspar fansh jaayegi.

to ye to aashirwad me twist waali kahani ho sakti hai.

central character ko interesting karke --- disney aur Sab dono ke liye pitch ho saktaa hai.

sample me ek kahani suna saktaa hun --- un dono hi condition me.

par likhane ke pahale ye to decide karoge ki kahani kaa flavour kyaa hoga... kartaa hun!!

ab ye pitch thoda weak lag raha hai -- ki aap kahaniyaa kahan se laaoge??

esako kahate hai show par kaam karnaa ... show me maja kin baaton me aayega... basic conflict kya hoga... parallel stories aur characters kaunse honge!!

aur sab kuch majedaar hona chahiye... interesting characters... jo aap yaa to hona chaho yaa phir nahi hona chaho.

ye extremes hai... waise to extreme jaisa kuch nahi hota hai... haan tarah tarah ke character bana sakte hai.. alag alag tarah ki feeling paida kare... sirf ghrina aur idol worship eskaa bhi kuch hindi to hota hai par yaad nahi aa raha hai, par characters to bahut tarah ke samwedana jaga saktaa hai.. karuna... daya... bhakti.. vilaashita, rakchas, waasna.. aur bhi bahut kuch ho saktaa hai.

bas wahi sochane ki jaroorat hai.... aur enase apne character banaao... abhi espar kaam to karo... unki jeevan kaa twist... jo wo chaahe wo unko nahi mil saktaa.. biggest twist... paristhiti kaisi kaisi ho sakti hai.

vidambana... ye jo word hai esake jaisa aur bhi koi word hai kya??

kyunki ye mujhe samajh nahi aata hai.. vidambana matlab ye huaa ki bhaai yahaan par ek aisi sthiti hui ki vidhi kaa vidhan badal gaya yaa phir kyaa...

hasyaa waali paristhiti... lajja aa jaaye.. lobh aa jaaye.. laalach... ishq ho jaye.... aisi bahut si paristhitiyaa ensaan ke saamane aa sakti hai.. lekin en definitions se main kyaa jaaunga???

aankalan karne ke liye kuch maapdand to hone chahiye... karke dekh lete hai... thode din talaash hogi tab tak kuch show ke concept bhi develop kiye jaa sakate hai.. hoga hi --- aur pata chal jaayega ki acha hai yaa nahi.   

career vs job

career wo hota hai jo main finally karna chahta hun

film banana mera aim hai... ussi ke liye main aaya hun

to film banane ke liye jo bhi seekhanaa hoga wo seekhana mera aim hai

job wo hai jisase mujhe paisa mile...

aur kaam chaltaa rahe... usame jyada emotional energy invest nahi karne ka

sirf itna ki paisa ban jaaye aur aap boss ke aankho me naa chubhe

waise ye karna utnaa aasan nahi hai -- main to hamesha essi dar me rahtaa hun ki kab nikaal diyaa jaaun

career me.. learn skills, gain experience, build connections aur khud ko es sthiti me rakho ki promotion aur raise mil sake agar main waise hi doosare organization ko join karta hun.

go extra mile... do more than my minimum job description, building positive relationship with people around myself.

main es industry me faili hui yaa phir poore samaaj me hi ye gareebi faili hui hai... warna mujhe IIT karne ki jaroorat hi kyun thi... seedha yahaan aane se tab bhi darr raha tha... lekin degre lekar aane se kyaa fayada hua ki bhaag jaaunga.. kyunki degree me bhi to kaphi samay barbaad hua.

2 years atleast

 


Saturday, August 24, 2013

ek aur character

ab wo bacha jo khada hai class ke darwaaje par... usako badhiya lagtaa hai jab usaki teacher sawaal class se poochati hai usase nahi.

ye jo main likhtaa hun usame aisa tedha medha waali feeling bahut din se ho rahi hai.

language sahi karnaa padega


Thursday, August 22, 2013

Seene Par Billi

bada hi sahi character laga --- wo aurat bahut aaram se khadi hai.... usake seene par ek billi bahut aaram se so rahi hai... they are just like part.

khabar bhi utni hi darawani thi -- ki kyaa mall hamare gharo se jyada jaroori hai??

ghisaayi se har koi dar raha hai

ghisayi kissi ko nahi karni hai

kaam sabako acha chahiye

aise waqt me mere khayaal se --- aapko writing ke project milte rahe aur aap usako complete karke dete rahe

agar mujhe essi baat ke paise mile -- aur pakka taur par clear rahe ki milenge hi --- maan lo tum abhi jispar bharosha kiye ho --- usako kabhi kaam nahi mila... phir kyaa karoge???

ye ek to apnaa kismat kharaab hona hi kaha jaayega.

lekin agar aisa kal hi ho jaayega to phir mujhe seriously kuch sochana hoga..

kyunki director to kuch bhi aisa shoot karke nahi rakhnaa hota hai --- jo wo bech sake.

ab ye mera darr kyaa ye bhi sach ho jaayega

maan lo ki sach nahi hoga .. lekin usake liye kahani to sochanaa hoga!!

chalo ab Adalat ki kahani likhnaa start karo.

pappu - purse kho jaaye to ye lautaaye

bada acha laga character ..

lady ka purse kho gaya aur Pappu ko mila to wo lautaane aaya
lautaane par madam ne bola ki pappu ajeeb baat hai andar pahle 500 kaa note tha ab 50 ke 10 note hai

Pappu bola ki maine hi rakhe hai.. akhiri baar jab purse lautaane gaya tha to unake paas chutta nahi tha.

yahi sahi character hai --- I can see blink in his eyes.

rockstar ke Rishi kapoor ke launde kaa sahi look aaya hai... par sala wo hamesha ek extra inch ho jata hai.... talented hai. --- star value to hai... film aapko milti hai... second aapko leni hoti hai.

so choose with care -- :) :)

Wednesday, August 21, 2013

doosaraa kutta mujhase behtar kaise??


Ek kutta aur billi saath raha karte the. Dono me dsoti utani achi nahi thi jitni ki ek doosare ko kab maar giraaye es baat kaa sapna aur yahi sapna unh eek saath jodkar rakhe hua tha.
Kaheen koi khaane kaa tukda miltaa to dono uspar tab tak nahi tootate jab tak ki ye baat saabit naa ho jaaye ki usame jehar nahi hai. Shardi ke maheene me kapde kaa tukdaa mil jaaye to dono usako odhane ke bajaaye usako chipaa kar rakh dete. Es tarah se dono thand me thithurate ki kab doosare kee aankh band ho jaaye to pahale wala kapde ko odh le.
Ek din ki baat hai ki kutte ne circus waale kaa poster lagaa hua dekha. Sehar me saayad yah cheej pahli baar aayi thi aur uspar aadmi ke saath saath jaanwaro ke photo bhi lage hue the. Apne biradari ke bhi log the aur ache ache kapade pahane hue the. Kutte ko wo photo dekh kar dimaag me ek baat chaunki ki sala aakhir ye apni biradari waale kuch alag tarah ke lag rahe hai. Magar unake saath khadee billiyaa bhi kam chamak nahi rahi thi.
Kutte ke dimag me ek khayaal aaya ki kyun naa chal kar enase mila jaaye. Saayad unake paas se koi tareeka nikal jaaye es billi se nijaat pane ka.
Wah fauran hi apne sathiyo se milane ke liye kamar kas kar nikal gaya. Raasta pata nahi tha aur bahut muskil hui ki aakhir wahana pahuncha kaise jaaye. Sehar ke galiyo me magar wo poster har taraf laga huaa tha. USane fauran ek photo phaad liya aur galiyo ke kutto se pooch taach karta huaa aakhirkaar us circus tak pahunch gaya.
Magar wahaan pahunch kar dekha to alag hi najara tha. Bade bade tent lage hue hai aur har taraf aadmi hi aadmi khade hai. Un tento ke aaspaas chakkar laga kar dekha to ek taraf lohe ke pinjaro me kaaphi sare jaanwar bandhe hue the. Usame usake jaat biradari waale bhi band the. Unake chehre dekh kar wo kaaphi khush nahi lag rahe the aur jab wo unake paas gaye to unahone usaka bhoonk kar swaagat to door usakee taraf dekha bhi nahi. Wo to alag hi susti me dikhayi de rahe the.
Kutte ko laga ki en kutto ki to mauj hai. Aaram se ghar me rahate hai ensaano ki tarah. Aur saaf safai bhi theek hai. Upar se unake bagal me khaane ko rakha hai aur khaa bhi nahi rahe hai. Usake liye to har subah sham khaane ki jugaad ke jaddo jehad me hi nikal jaati thi.
Kutta chuki itani door se aaya tha to yun haar maanane kaa nahi socha. Usane baat karane ki koshish ki. Kuttein ne wahaan maujood 2-3 kutto ke paas baat kahi to ek thoda hila dulaa aur usako dekh kar kuch jugaad sochane laga. Usane ishaare se kaha ki taala khol do.. lekin es kutto ko samajh nahi aaya ki aakhir wo usase kyaa karne ko kah raha hai.
Kutta pareshan ho gaya ki wo jo kah rahaa hai uspar kute kaa dhyaan nahi hai balki wo kuch aur hi kah rahaa hai. Kutta aakhirkaar usaki baat samajh gaya aur usane pinjara khol diya… pinjare ke andar wala kutta baahar aa gaya aur usane esase kahaa ki dekh bhaai tu job hi bataane ki koshish kar raha tha usaka koi matlab nahi hai – jaldi se yahaan se nikal jaa warnaa maalik kin ajar pad gayi to hamesha ki liye koodata faandata rahega.
Yah bat kah kar pinjare wala kutta fauran wahaan se nikal gayaa aur ye kutta bhi usake peeche peeche ho liyaa ki bhaai meri ek samasyaa hai usako to suljhaate do.
Pinjare wala kutta to bina usaki baat sune fatafat wahaan se door bhaag raha tha aur es kutte ne bhi kaaphi jaldi jaldi race lagakar usako pakad liya. Lekin wo pinjare wala kutta thoda achakacha gaya tha. Usako samajh nahi aa raha thaa ki kahaan jaaun… wo kabhi idhar bhaagataa to kabhi udhar. Sehar ke hark one me chakkar maarataa maarta wo pareshan ho gaya aur ek jagah jaakar achakachata huaa khada ho gaya.
Kutta jo usake peeche kai ghante se chakkar lagaa raha tha usane aakhirkaar saans li ki chalo ye kutta shaant to huaa… ab esase tasalee se baat ho sakati hai. Kutte ne usase poocha lekin usase pahale pinjare wala kutta usase pooch baithaa ki yahan khana kahan milta hai.
Road wala kutta dekha ki abhi to khaane kaa time nahi hai, lekin phir bhi es umeed par ki kuch jagah haath pair maara jaaye to unako kuch khaane ko mil saktaa hai. Wo usako lekar ek restaurant se doosare restuarnt tak jaane laga, har jagah pinjare wala kutta khaane ki aas laga leta lekin road wala kutta wahaan idhar udhar kuch dekhata aur usako aage badhane ke liye bol deta.
Pinjare waale kutte ko khaane ki sugandh aati lekin samajh nahi aata ki aakhir ye road wala kutta khaane ke taraf badhata kyun nahi hai. Ek restaurant ke baahar pinjare wala kutta ruk gaya aur khaane ki khusboo ki taraf bhaagane laga. Road waale kutte ne usako bahut samjhaya ki bhaai jahaan se khaane ki khusboo aa rahi hai wahaan jaane kaa nahi hai lekin pinjare ka kutta nahi maana. Wah bhaag kar restaurant ke kitchen me ghus gaya aur road wala kutta yahaan taiyaar khada thaa ki pinjare wala kutta pitata huaa ayega to usako lekar bhag jaaunga.
Kuch minute bitte, phir kuch ghante magar wo pinjare waala kutta laut kar nahi aaya… road wala kutta jo wahan hairaan pareshan saa khada tha usako ab chintaa hone lagi.. aur wah check karane ke liye bhaag kar restaurant ke andar gaya. Wahaan pahunch kar dekha to wo pinjare wala kutta aaram se leta huaa hai aur usako kai logo ne kambal wambal bhi odhaa rakhe hai.
Es road waale kutte ko samajh me nahi aaya ki aakhir aisa kaise… kyaa ye hotel waale alag hai jo esake saath aisa vyavahaar kar rahe hai… lekin tabhi usake peeth par ek jor ki laat lagi aur wah samajh gaya ki log to wahi hai aur wah fauran baahar ki taraf bhaga.
Billi se dushmani ab usake liye utani mayane nahi rakhti thi jitni ye baat ki aakhir us restaurant waale ne us pinjare waale kutte ke saaath alag vyavahaar kyun kiya.

Tuesday, August 20, 2013

kyaa ham insecure hai?? kaise secure honge???

haan ham sab insecure hai... agar aisa nahi hota to ham bahut se kaam nahi karte jo ham karte hai.

agar ham insecure nahi hote -- to gareebo ki taraf se muh nahi modte... kachade ke paas se gujarate hue naak nahi band karte --- aur kahan khaane ke pahale haath nahi dhote.

ham insecure hai aur secure hona chahate hai.

Agneepath kaa ek scene bahut acha lagaa tha -- badhiyaa dilemma --- Amitabh bachan ne itni taakat jama ki thi ki koi usako chu nahi paayega -- phir koi usake parivaar par atyaachar karnaa to door soch bhi nahi paayega --- lekin usaki behan ko kuch gunde bhare bajaar rape karne waale hote.

Amitabh ki maa kahti hai --- ki bura karne waale ke saath bura hi hotaa hai... Amitabh ne taakat ikatha karne ke gunaah kaa raasta apnaya tha... waise film dekhane ke baad usakaa gunaah bas ek business jaisa hi lagtaa hai... aisa koi gunaah nahi jisake kaaran aap kissi aadmi se nafrat karne lagte hai.

wo to us film ki kahani thi ---- yahaan security kaa matlab ye hai ki mujhe koi dukh naa ho... paise ki jab jaroorat ho wo ho... aur ek tarah se jo mujhe chahiye wo mujhe mil jaaye.

esame ilaaj, rahane ke liye ghar, ghumane ke liye gaadi -- bahut basic hai... lekin ye sab khud me kuch lakh se lekar crore aur kuch hazaar laakh crore ke bhi ho sakte hai... waise normal life me esake siwaa bhi itne kharach hai -- aur unke saath ek social status aur apni icha judi hai jo aapko bahut jyada paisa jama karne ke liye utsuk karti hai.

kaaphi dinno se kaam karte hue ek baat samajh me aaya hai.. ki ek aadmi ke shareer ki ek chamtaa hai jitnaa wo kaam karega aur paisa kamaayega... lekin agar wo bahut se logo ki chamtaa ko jod de... aur usakaa shauda kare to wo bahut paise kamaa saktaa hai.

ham kissi ke liye kuch karte hai to wo apne paise me se hame kuch paise de deta hai.... jab wo paisa hame mil jata hai to phir jo hamaare liye kaam kar raha hai usako ham usame se kuch de dete hai aur kuch apne bure waqt ke liye bacha lete hai.

lekin hamara bura waqt hamaari tarakee ke saath utnaa hi bada ban jata hai... bada sirf paise ke sense me hi hai.

lekin life me insecurity to hai nahi... aapke saath kabhi bhi kuch bhi ho saktaa hai... to jo log aappar dependent hai unako bhi secure kar lo... marne ke baad to waise mujhe kyaa farak padega lekin jab tak main jinda hun tab tak apne bache aur biwi.... kyunki shadi ke baad sabase close wahi ho jaate hai... maa, baap aur bhai... bahan to hai nahi.... lekin esako thoda aur bada karun... to kuch dost yaar.... kuch aur ristedaar... aur ek bada saa samooh ban jata hai.

par main sabake liye kyaa kar raha hun?? atleast unake liye paise to nahi jugaad raha hun.... pahale apni jaroorat aur phir unaki..... to ye paisa ek ajeeb si cheej hai aur esake liye ki gayi masakat aur bhi ajeeb hai...

tarah tarah ke scenario aate hai... paisa hone ke baad bhi bahut kuch aisa ho saktaa hai ki jisase life ek dam mast ho jaaye.... lekin kitni bhi behtar life ki kalpana kare usame problems ke hajaaro gunjaaish hai.

aur life ko paise ki bahut jyada kami ho... to wo pareshan kar sakti hai... jaise ki bahu jyada hone par pareshan karti hai.... gareeb hone par aapki biwi ki jab ijjat looti jaayegi to aap usako gareeb par atyachar kahenge.... ameer hone ke baad aapki biwi kissi ke saath soye... chaahe wo business development ke liye... yaa phir apne shauk ke liye... yaa akelapan door karne ke liye... boriyat khatam karne ke liye.... yaa phir kissi bhi kaaran se... to ye gussa bhi tarah tarah kaa ho saktaa hai.

to ham kyaa kare?? koi icha naa kare.... kissi bhi cheej ko naa maane... jo hoga wo ho saktaa hai... phir anger aur tamaam human emotion kaa kya... irshyaa, jalan, nafrat, abhimaan, swaabhimaan, kartavya, kaamna, chinta... ye sab alag alag tarah ke emotion and act ho sakte hai... lekin en sabpar control kaa matlab kyaa hai??

aur wo jeevan kya ho saktaa hai... aur hoga to kaisa hoga??

esako ek baar sahi se vichaar karo...

ab mera man kartaa hai ki main apne maa baap ke saath rahun... lekin unake sath rahane me bhi khitpit wali problems... cheejon me hastachep jo mujhe pasand nahi hoga... door hai to naa hamane unakaa muh dekha naa unhone hamara... aur ek din wo nahi rahenge yaa saayad unake pahale main naa rahun... to jo bhi jinda hoga wo doosare ko yaad karke dukhi hoga.

aur pachtaayega ki samay rahate hamane ye kyun nahi kiya... to hamane wo kyun nahi kiya... lekin wo gilaa sikwaa bhi jindagi kaa ek hissa hai.

pata nahi upar koi jahaan hai... jahaan se baith kar ham ye sab dekhate hai... waise muskil lagtaa hai kyunki saare jeev aur jantu me bhi praan hai.... aur wo sab upar jaayenge tab to aatma hi banenge.. lekin hame to aisa lagtaa hai ki wo kyaa sochenge jinako hamane yahaan yun masal diyaa wo upar jaakar bhi waise hi dabe hue class me rahenge.

Aaj Noida me wo sharabi aadmi yaad aa raha hai ji subah ke 8 baje beech chauraahe par gir raha tha.... usase seedha chala nahi jaa raha tha... aur usake kapade safari suit, UP aur Bihar me thoda upar ke ameer warg ke log hi pahante hai.

apne jagah kaa wo ache parivaar kaa hoga lekin Noida jaisi jagah par wo sadak par feri lagaane waale bhi usako hey najar se dekh rahe the... waise ferry waale ko bhi main aise kyun mention kar raha hun... wo bhi to ek ensaan hai.


female investigator wala concept

rosemary and thyme as concept seems gud --- it solves the problems --- there is a young attractive girl and an old lady... they complete each other for some emotional reason... so an emotional journey underlying gripping detective stories.  

Investigator Series --- agar hamlog esame Rakht me Bipasha basu wala character lekar aaye.... wo paranormal kism kaa investigation karti hai... ye 1 hour kaa episode kar sakate hai aur stories spanning in 2 - 4 episodes.

kahaniyo me paranormal kism ki activity ho rahi hogi.... with adventure ye usako investigate karke solve karegi. -- yahaan par usaki life aur usako ye gift kaise milaa... yaa phir ye curse.  

Female Investigator -- Chirlie's angel type ki ek female investigator ki agency bana de... enako crime ke baare me pata chaltaa hai aur phir ye usako solve karti hai... high octane action scene wala episode hoga... jisame aise hi crime dikhaaye jaayenge jisame maximum action kaa scope ho --- with things blowing up -- or I can think of more types of crimes to capture audience imagination --- jaise arson... crime against woman.... kissi ke lover ne usako dhokha diyaa hai -- to ab ye ladkiyaa kaise us ladke ko sabak sikhaati hai --- to poora emotional atyachar kaa angle pakad kar hamlog us ladke ki maarte hue dikhaa sakte hai.

emotional atyachar actually love crime investigative hai.

naya investigation chahiye jo audience fantasy ko capture kare --- naye angle se --- ladki hai to uskaa har case me involvement usake character ko nikaal kar baahar laayega --- ab us character kaa ham kyaa karne waale hai... wo character kyaa hoga --- aur wo investigate kyaa karegi??

booodhi jasoos --- jasoos nani --- aur can that be interesting?? or a glamorous girl investigating --- Jasoos nani that Nani can be young like Shweta Tiwari

old granny as detective ---- crime against woman -- jo real cases hai unake hone ke baad wo criminal kaise pakde gaye wo sab ek female cop ke najar se dikhaaye.

dil kabootar

elk aadmi ullu kaa mask aur neeche fancy healthy rooster ki poonch lagaaye hue hai... fur se uskaa ling bhi chipaa hai... otherwise he is completely naked.

ab ye picture acha lag raha hai.. kuch badhiyaa kahani sochi jaa sakti hai.  

meri wife ke ameer jijaji

ye kahani meri apni niji jindagi ki hai --- ki kaise main hamesha se comparison se pareshan tha... wo comparison kabhi bagal me rahane waali ladki se hota... to kabhi kissi chacha mama ke ladke se... har umar aur har kism ke aadmi se comparison.

jo kareebi the aur aankhon dekhe the unase main hamesha kam hota tha... to jo andhe the wo to waise bhi legend the.. to unase to maine khud ko hi kam aank liya.

jab jaan pahchaan waale jo kahte wo mani bina tark kiye aur usako samjhe hue --- aankh band kar yakin kar leta... esako kaan kaa kacha nahi balki tark kaa kacha kahenge. kyunki ek paristhiti me raha huaa admi apne jaise hi doosare aadmi se alag ho saktaa hai.... parantu har skill set me acha ho... ek to ye comparison bebunyiyaadi hai... doosara ki jab aap usako sarve sarva acha maan lete ho --- tab to problem aur bhi badh jaati hai.

waise to aapki umar ke har ensaan se aap har cheej me ache ho nahi sakte... lekin main koi bhi aisa udhaaran saamne aata jab koi bandaa yaa bandi kissi maamle me mujhase ache hote.. jo ki natural hai... aur main usase dushmani kar baithata... man hi man... jabaki main sirf usakaa hauslaa afjaahi karke aage badh saktaa hun.

aur apne kaam par dhyaan deta rahun.

khair apnaa kaam bhi bahut sahi se pata nahi tha... jo doosdare karte agar wahi acha hai --- to phir wahi karnaa chahiye aur ache se karnaa chahiye..

khair ab jindagi yahaan aa gayi hai... jab paise ki hod hai.. waise saayad sabako hod naa ho par mujhe to hai... waise mujhe bhi itni jyada nahi hai lekin har cheej itnaa mahngaa hai aur har cheej main afofrd nahi kar sakataa... to ab en cheejo ki price list dekh kar... aur aise cheejon ki kami nahi hai... to number of price list bhi badhate jaa rahe hai aur un list par likhaa huaa number bhi.

aur aisa bhi nahi hai ki duniyaa me khareedaro ki kami hai... warna to ye dukaanein sirf mere liye khuli nahi hai.. to aas paas kaa koi aadmi jab koi aisa saaman khareed leta hai to dukh hotaa hai.. apni nimnata kaa ehsaah hota hai...

lekin jab aapke paas kaa ek aadmi... jo aapke biwi kaa jija ho wo agar aise saaman khareedane lage jo aapke basic jaroorato ke upper limit ke barabar ho to phir lagtaa hai ki bhaai paisa kamaane ke khel me bhi peeche hi rahne waale hai kya....

ab kissi ne kahaa ki "duniyaa me 2 tarah ke log hote hai... ek business minded jo har jagah paisa kamaane kaa sochate hai aur banaa lete hai... aur ek doosare type ke"... ye doosara type wo define nahi kar paaye... par main samajh gaya ki wo jaroor aise honge jo paisa nahi banaa paate honge.... mauka unake saamane se gujarta hoga... aur wo haath par haath dhare baithe rahte honge... yaa phir pata nahi wo kyuun nahi banaa paate honge!!

anti social hone ke kaaran.... unako lakshay nahi pata ho... skill set sahi naa ho... yaa phir unakaa waqt nahi aaya ho... bahut kuch ho saktaa hia... yaa phir pichale janam me koi paap kiyaa ho jisake kaaran ye nahi ho paa raha ho.

ab en sabake baad bhi --- agar jijaji ne sabkuch kamaa liyaa hai.. to jaahir hai ki aaspaas ki female warg aur usame se ek aisi female jo aapke saath har waqt rahti hai... aur main usase pyaar karne ke liye vachanbadh hun... usako kitnaa buraa lagega jab usako ye pata chalega ki usaki biwi ko pata hai ki wo kabhi jijaji jitnaa tyaag aur balidaan nahi kar paayega aur kabhi utnaa haasil nahi kar paayega.

to bhai ab haasil karne ki jaddo jahad hai... matlab kuch bhi kaam aaj ke bad aisa nahi dikhtaa hai... jisame paisa kamaane kaa agar scope naa ho to wo karne ka man kare... chaahe wo dost ke saath baith kar gappe hi kyun naa haankane ho.. lekin mere khayaal se ab aapko ek aisa warg banaa lena chahiye jahaan aap gappe haanke aur unase kuch kaam bhi miltaa rahe.

pata nahi ye sab kitnaa sambhav hai... lets see.

multitasking kaa jamana hai... 10th ke baad khush huaa ki kuch kitaabe ab padhane ko nahi milengi... 12 th ke baad khush huaa ki engineering me to wo bahut se subject bhi nahi padhane padenge.... lekin engineering me ek hi subject ke itne hisse ho jaayenge aur wo bhi saare ke saare itne complicated jitnaa pahle saare milkar nahi huaa karte the.... khair phir huaa ki college ke baad tha ki wahi padhenge jo padhane kaa man karega aur naa chaho to naa padho... lekin phir samajh aaya ki yahaan to alag hi paath hai.

yahaan wo sab padhanaa padega jo aajtak padha hai... aur subject yahaan risto kaa hai... paise kamaane waale hathkande seekhana padega... aisa lag raha hai skill set badhana khud me ek kaam hai... waise tabhi to kuch kaam bhi hoga.... aur ye sochanaa to galat hai ki ab skill set badhaane ki koi jaroorat nahi hai.

kyunki pichale skill set par jitane paise mil rahe the utne hi aage bhi milenge... to paisa badhane ke liye skill set to badhana hi padega.

aur wahi to learning hai... ab mujhe agar cricket aur music aur politics me interest nahi hai... waise interest nahi  hai waali baat galat hai... interest sabame hai... l;ekin khud se padh kar aur apni raai nikaalna... kyunki har ek cheej ke bnaare me ek raai ho sakti hai... wo raai ab ek expert ki hai... yaa ek nausikhiye ki... yaa phir ek bystander ki... yaa phir kuch aur tareeke se classify bhi kiyaa jaa saktaa hai... wo main kabhi aur kar lunga.

to bas aap padhate chaliye.. lekin jo padhiye usako interest se padhiye... sirf timepass ke liye nahi... I mean thoda aaspaas kaa knowledge bhi ikatha kar lena chahiye... lets hope main esako amal me aa laa paaunga...

wo kahte hai naa ki ek kaam ko badhiyaa se karo basarte ki bahut sare kaam ko adhure man se... to ye baat sahi lagti hai.. lekin phir recreation kaa kya... aur ham recreation ke liye kuch padhate hai lekin curiosity I think aa rahi hai to usako dabaane ke bajaaye usake baare me jaan lena chahiye... aur jo baat jahaan tak rah gayi usako usake baad continue karnaa chahiye... agar continue nahi karnaa hai to decide kar lo ki bhaai esako esake baad continue nahi karunga.... esake baare me mujhe itnaa hi jaanana tha aur wo bhi isliiye.

ab mujhe ye baat pareshan karti hai to mujhe esake liye kuch behtar tareeke se kaam karnaa hoga.... aur phir kabhi kissi ne kissi topic par baat start ki to uspar main poore interest ke saath usase baat karke... aur kai baar balki hamesha main saamne waale se baat bhi karta hun aur pareshan bhi rahtaa hun... agar mani kaam me busy hun to usako baad me baat karne ko bhi kah saktaa hun... esase mera kaam bhi ho jaayega aur wo naaraj bhi nahi hoga... aur agar naaraj ho gaya then usako mujhase actually kaam nahi tha... aur usase naa baat ki jaaye tab bhi sahi hai... aur please har baat ko itana tawajo mat do... dekho ki usako tawajjo dena hai yaa nahi... aur emotional me fans jana aisa hota hai... every people gets caught in that.