Ek
kutta aur billi saath raha karte the. Dono me dsoti utani achi nahi thi jitni
ki ek doosare ko kab maar giraaye es baat kaa sapna aur yahi sapna unh eek
saath jodkar rakhe hua tha.
Kaheen
koi khaane kaa tukda miltaa to dono uspar tab tak nahi tootate jab tak ki ye
baat saabit naa ho jaaye ki usame jehar nahi hai. Shardi ke maheene me kapde
kaa tukdaa mil jaaye to dono usako odhane ke bajaaye usako chipaa kar rakh
dete. Es tarah se dono thand me thithurate ki kab doosare kee aankh band ho
jaaye to pahale wala kapde ko odh le.
Ek
din ki baat hai ki kutte ne circus waale kaa poster lagaa hua dekha. Sehar me
saayad yah cheej pahli baar aayi thi aur uspar aadmi ke saath saath jaanwaro ke
photo bhi lage hue the. Apne biradari ke bhi log the aur ache ache kapade
pahane hue the. Kutte ko wo photo dekh kar dimaag me ek baat chaunki ki sala
aakhir ye apni biradari waale kuch alag tarah ke lag rahe hai. Magar unake
saath khadee billiyaa bhi kam chamak nahi rahi thi.
Kutte
ke dimag me ek khayaal aaya ki kyun naa chal kar enase mila jaaye. Saayad unake
paas se koi tareeka nikal jaaye es billi se nijaat pane ka.
Wah
fauran hi apne sathiyo se milane ke liye kamar kas kar nikal gaya. Raasta pata
nahi tha aur bahut muskil hui ki aakhir wahana pahuncha kaise jaaye. Sehar ke
galiyo me magar wo poster har taraf laga huaa tha. USane fauran ek photo phaad
liya aur galiyo ke kutto se pooch taach karta huaa aakhirkaar us circus tak
pahunch gaya.
Magar
wahaan pahunch kar dekha to alag hi najara tha. Bade bade tent lage hue hai aur
har taraf aadmi hi aadmi khade hai. Un tento ke aaspaas chakkar laga kar dekha
to ek taraf lohe ke pinjaro me kaaphi sare jaanwar bandhe hue the. Usame usake
jaat biradari waale bhi band the. Unake chehre dekh kar wo kaaphi khush nahi
lag rahe the aur jab wo unake paas gaye to unahone usaka bhoonk kar swaagat to
door usakee taraf dekha bhi nahi. Wo to alag hi susti me dikhayi de rahe the.
Kutte
ko laga ki en kutto ki to mauj hai. Aaram se ghar me rahate hai ensaano ki
tarah. Aur saaf safai bhi theek hai. Upar se unake bagal me khaane ko rakha hai
aur khaa bhi nahi rahe hai. Usake liye to har subah sham khaane ki jugaad ke
jaddo jehad me hi nikal jaati thi.
Kutta
chuki itani door se aaya tha to yun haar maanane kaa nahi socha. Usane baat
karane ki koshish ki. Kuttein ne wahaan maujood 2-3 kutto ke paas baat kahi to
ek thoda hila dulaa aur usako dekh kar kuch jugaad sochane laga. Usane ishaare
se kaha ki taala khol do.. lekin es kutto ko samajh nahi aaya ki aakhir wo
usase kyaa karne ko kah raha hai.
Kutta
pareshan ho gaya ki wo jo kah rahaa hai uspar kute kaa dhyaan nahi hai balki wo
kuch aur hi kah rahaa hai. Kutta aakhirkaar usaki baat samajh gaya aur usane
pinjara khol diya… pinjare ke andar wala kutta baahar aa gaya aur usane esase
kahaa ki dekh bhaai tu job hi bataane ki koshish kar raha tha usaka koi matlab
nahi hai – jaldi se yahaan se nikal jaa warnaa maalik kin ajar pad gayi to
hamesha ki liye koodata faandata rahega.
Yah
bat kah kar pinjare wala kutta fauran wahaan se nikal gayaa aur ye kutta bhi
usake peeche peeche ho liyaa ki bhaai meri ek samasyaa hai usako to suljhaate
do.
Pinjare
wala kutta to bina usaki baat sune fatafat wahaan se door bhaag raha tha aur es
kutte ne bhi kaaphi jaldi jaldi race lagakar usako pakad liya. Lekin wo pinjare
wala kutta thoda achakacha gaya tha. Usako samajh nahi aa raha thaa ki kahaan
jaaun… wo kabhi idhar bhaagataa to kabhi udhar. Sehar ke hark one me chakkar
maarataa maarta wo pareshan ho gaya aur ek jagah jaakar achakachata huaa khada
ho gaya.
Kutta
jo usake peeche kai ghante se chakkar lagaa raha tha usane aakhirkaar saans li
ki chalo ye kutta shaant to huaa… ab esase tasalee se baat ho sakati hai. Kutte
ne usase poocha lekin usase pahale pinjare wala kutta usase pooch baithaa ki
yahan khana kahan milta hai.
Road
wala kutta dekha ki abhi to khaane kaa time nahi hai, lekin phir bhi es umeed
par ki kuch jagah haath pair maara jaaye to unako kuch khaane ko mil saktaa
hai. Wo usako lekar ek restaurant se doosare restuarnt tak jaane laga, har
jagah pinjare wala kutta khaane ki aas laga leta lekin road wala kutta wahaan
idhar udhar kuch dekhata aur usako aage badhane ke liye bol deta.
Pinjare
waale kutte ko khaane ki sugandh aati lekin samajh nahi aata ki aakhir ye road
wala kutta khaane ke taraf badhata kyun nahi hai. Ek restaurant ke baahar
pinjare wala kutta ruk gaya aur khaane ki khusboo ki taraf bhaagane laga. Road
waale kutte ne usako bahut samjhaya ki bhaai jahaan se khaane ki khusboo aa rahi
hai wahaan jaane kaa nahi hai lekin pinjare ka kutta nahi maana. Wah bhaag kar
restaurant ke kitchen me ghus gaya aur road wala kutta yahaan taiyaar khada
thaa ki pinjare wala kutta pitata huaa ayega to usako lekar bhag jaaunga.
Kuch
minute bitte, phir kuch ghante magar wo pinjare waala kutta laut kar nahi aaya…
road wala kutta jo wahan hairaan pareshan saa khada tha usako ab chintaa hone
lagi.. aur wah check karane ke liye bhaag kar restaurant ke andar gaya. Wahaan
pahunch kar dekha to wo pinjare wala kutta aaram se leta huaa hai aur usako kai
logo ne kambal wambal bhi odhaa rakhe hai.
Es
road waale kutte ko samajh me nahi aaya ki aakhir aisa kaise… kyaa ye hotel
waale alag hai jo esake saath aisa vyavahaar kar rahe hai… lekin tabhi usake
peeth par ek jor ki laat lagi aur wah samajh gaya ki log to wahi hai aur wah
fauran baahar ki taraf bhaga.
Billi
se dushmani ab usake liye utani mayane nahi rakhti thi jitni ye baat ki aakhir
us restaurant waale ne us pinjare waale kutte ke saaath alag vyavahaar kyun kiya.